Thursday, March 25, 2010

Woh pehchan woh mulakat woh adhuri si baat


teri yaad satati hai mujhe har din har raat,

Woh maasumiyat mein sarabor jo lafz the tere

yun laga jaise dil ke ankahe ehsaas the mere,

Main khamoshi se sunti rahi teri baaton ko

aur pyar se sehlati rahi teri yaadon ko,

Apne jazbaton ko bayaan kar ke tu khamoshi se chala gaya

anjaane mein hee sahi apne liye mere ehsaas ko tu aur jaga gaya

No comments:

Post a Comment