Sunday, May 30, 2010


  • haan aaj sharm se mera sir jhukta hai..is baat ko soch kar,ki main bhi khud ko insaan kehta hoon aur shayad dusro ko peeche choD kar khud ko aage le jaata hoon. magar ..ab nahi hai mujhe is raah par chalna,apni insaniyat ko khudgarzi ke liye bechna khud ko kho kar nahi hain mujhe jeena, ek kosish zaroor karunga, zindagi ko jeene ke aihmiyat dekar jeeyunga.



  • Ghamon ne ansoo bahakar mujse ye kaha,Saath na chhodo hamara tumse ye he iltaja,Tumhare saath rehkar hum bhi muskurane lage the,Tum jab humein bayan karke logon ko hasane lage the,Ab pad chuki hai aadat hamein muskurane ki,Bhala har gham ko saza kyun ho rulane ki,Ye sunkar humne ghamon ko gale se lagaya,Phir kai mehfilon mein humne logon ko hansaya.



  • मेंहदी हरी दिखती है लेकिन उसमें लाली छुपी है। ऐसे यह देह नश्वर है लेकिन उसमें शाश्वत चेतना छपी है। उस चेतना का जो दीदार कर लेता है उसने सब कुछ कर लिया। उसका जो अनादर कर देता है, मानो उसने अपने जीवन का अनादर कर लिया। अपने आपका वह दुश्मन हो गया।

  • No comments:

    Post a Comment